Saturday, March 26, 2011

Tum Bin Ghazal

Tum Bin jiya jaye kaise,
Kaise jiya jaye Tum Bin,
Sadiyon se lambi hain ratein,
Sadiyon se lambe howe din,
Aaa jao laut kar Tum, 
Yeh Dil keh raha hai,
Phir sham-e-tanhai jaghi,
Phir yaad tum aa rahe ho,
Phir jaan nikalne lagi hai,
Phir mujh ko tarpa rahe ho,
Aaa jao laut kar Tum,
Yeh Dil keh raha hai,
Kya kya na socha hai main ne,
Kya kya na sapnay sajaye,
Kya kya na chaha hai Dil ne,
Kya kya na arman jagaye,
Es Dil se tofan guzarte hain,
Tum Bin na jite na marte hain,
Aaa jao laut kar Tum,
Yeh Dil keh raha hai,
Tum Bin jiya jaye kaise,
Kaise jiya jaye Tum Bin.

Tum Bin Ghazal in Picture

No comments:

Post a Comment